Thursday, January 26, 2012

NAZR E IBN E INSHA AHMAD ALI BARQI AZMI

jo kuchh bhi tum se paya hai,ab mera yahi sarmaya hai

insha ne sahi farmaya hai,jo kuchh hai yahaan”sb maya hai”

mumtaaz ki yaad mein shahjahaan ne taj mahal banwaya hai

paise ne gul yeh khilaya hai,jo kuchh hai yahaan sab maya hai

hain rishte nata matlab ke,koii bhi kisi ka nahin yahan

koii apna na paraya hai,jo kuchh hai yahaan sab maya hai

tum daam e fareb mein mat aana ,yeh tum ko shikar banaein ge

sab ne ek jaal bichhaya hai,jo kuchh hai yahaan sab maya hai

chalti phirti tasveeron mein mat dhoondh sukoon e qalb o jigar

ek daam e fareb yeh kaaya hai,jo kuchh hai yahaan sab maya hai

rakh yaad tere kaam aaye ga,main ne jo tujhe sunaya hai

uljhi guththi suljhaya hai,jo kuchh hai yahaan sab maya hai

phirte hain rikaabi mazhab jo,sab pet ke bande hain barqi

le lein ge jo ab tak paya hai.jo kuchh hai yahaan sab maya hai

(posted by Muslim Saleem - January 26, 2012)

No comments:

Post a Comment