Saturday, June 29, 2013

Muslim Saleem, ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013

Ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013
Aaj sandooq se daireena zamaane nikle
Diary kholi to yaadon ke khazaane nikle
Aise maazi ki phuaron men sharabor huey
Jaise bachcha koi baarish mein nahaane inkle
……………Baaqi asha’ar………………………
Log afasurdaa they ham unko hansaane nikle
Aaj phir zakhm zamaane ko dikhaane nikle
Waada-e-wasl kuchh is tarh nibhaane nikle
Apne ghar se wo saheli ke bahaane nikle
Log phirte hain yahaan bhes badal kar Muslim
Shakl-e-darwesh men ab kaun na-jaane nikle

Muslim Saleem - ek sher - June 27, 2013

Thursday, June 13, 2013

Muslim Saleem – ghazal – June 13, 2013

Ghazal and its translation by Muslim Saleem

Muslim Saleem - ghazal - June 13.
Nagaah jaag uthaa wo, yeh mujh par azab tha
Main khwab bun raha tha wo jab mahv-e-khwab tha
(Hell broke when she woke up suddenly
(since) I was knitting my dreams (seeing) her asleep)
Who aakhri habeeb bhi misl-e-saraab tha
Apni har arzoo ka muqaddar kharab tha
(And lo! That last beloved also turned out to be a mirage
It was as if fate of my every longing was doomed)
Mahshar mein ham ne dekha ajab hi hisaab tha
Nakaam jo yahan tha wahaan kamyaab tha
(It was a unique scene on Day of Judgment
One who was unsuccessful here was successful there)
Parda uthae ke dekha to aankhon mein thi hayaa
Yani ke us hijaab ke andar hijaab tha
(When I removed veil, I found modesty in her eyes
It was as if there was a veil within the veil)
Jo kucch hai is zameen pe Ali ka raheen hai
Unkaa ise liye to laqab Bu Turaab tha
(Everything on the face of this Earth is indebted to Ali (AS)
That was why his pseudonym was Bu Turaab (Father of Soil)
Ummedwar kitney hi nakaam ho gaye
Mushkil tha imtihaaN ke wafaa ka nisaab tha
(Innumerable candidates proved to be unsuccessful
Exam was tough since it was question paper of loyalty)
Nazaan bahut tha apni mohabbat ke jeet par
Muslim khud us nazar ka magar intikhab tha
(He was proud to have won his love…..but
(in fact) Muslim was (himself) choice of his beloved)

Saturday, June 8, 2013

MUSLIM SALEEM – GHAZAL – JUNE, 7, 2013


(INSPIRED BY GRAPHICS OF A ROSE BY ZARI AHMAD ON “MOHABBAT” FACEBOOK GROUP)

KHABAR BHI HAI KE MOHABBAT GULAB HOTI HAI
LAHOO KE RANG SE ULFAT GULAB HOTI HAI 


HAZAAR USKO CHHUPAO MAGAR MAHAKTI HAI
DILON KI KYARI MEN CHAHAT GULAB HOTI HAI

YEH SEH NA PAAYENGE BAAD-E-SAMOOM NAFRAT KI
TA’ALLUQAAT KI FITRAT GULAB HOTI HAI

KHYAL BAN KE MIRI KHAAR-ZAAR HASTI MEN
TUM AATE HO TO TABEE’AT GULAB HOTI HAI

YEH ARZOO KOI MUSLIM PE HI NAHEEN MAUQOOF
HAR EK SHAKHS KI HASRAT GULAB HOTI HAI



 ख़बर भी है के मुहब्बत गुलाब होती है,
लहू के रंग से उल्फ़त गुलाब होती है।

हजार उसको छुपाओ मगर महकती है,
दिलों की क्यारी में चाहत गुलाब होती है।

ये सह न पायेंगे बाद-ए-समूम नफरत की,
ताल्लुकात की फितरत गुलाब होती है।

ख्यांल बन के मेरी खार-ज़ार हस्ती में,
तुम आते हो तो तबीयत गुलाब होती है।

ये आरज़ू कोई मुस्लिम पे ही नहीं मौकूफ़,
हर एक शख्स की हसरत गुलाब होती है।

- मुस्लिम सलीम

Thursday, June 6, 2013

Muslim Saleem – ek sher

Ik Zara Jab Ham....

Ik zara jab ham uthha kar sar chale
Har taraf se der tak patthar chale

Wednesday, June 5, 2013

Monday, June 3, 2013

MUSLIM SALEEM – EK SHER – JUNE 3, 2013

BAHAR LAYE THE YE INKA IHTERAAM KARO
KHAZAN-RASEEDA DARKHTON KO BHI SALAAM KARO
BAHAR LAYE THE YE INKA IHTERAAM KARO
KHAZAN-RASEEDA DARKHTON KO BHI SALAAM KARO
Muslim Saleem ek sher June 3, 2013

Sunday, June 2, 2013

Muslim Saleem – teen asha’ar – June 1, 2013

Muslim Saleem – teen asha’ar – June 1, 2013

Muslim Saleem - teen ashaar - June 1, 2013Zaree Ahmad 1Zaree Ahmad 2

Waqt ki aawaz hain Muslim Saleem – tribute by Dr. Barqi Azmi

وقت کی آواز ہیں مسلم سلیم


شاعرِ ممتاز ہیں مسلم سلیم


جانفزا ہے اُن کا تخلیقی شعور


صاحب اعجاز ہیں مسلم سلیم